25 Jul 2013

Rothne wale bata Kaise mana'en Tujhko

Rothne wale bata Kaise mana'en Tujhko



Muskura Dy k Ab jaan pe ban aai hai...

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.
Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Mil Leta Hai Guftago Ki Had Tak.
Itna Hi Tera Karam Bahut Hai.

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthai Ga.
Dheleez Pe Ek Qadam Bahut Hai.

Mil Jaye Agr Teri Rafqat.
Mujh Ko To Yehi Janam Bahut Hai.

Kia Shab Se Humen Sawal Karna.
Hona Tera Subh Dam Bahut Hai.

Q Bujhne Lage Charagh Mere.
Ab K To Hawa B Kam Bahut Hai.

Chup Q Tujhe Lag Gai Hai PARVEEN.
Sunte Thay K Tujh Me Raim Bahut Hai.

SoYa Hai Bewafa Yar Naram Bister PaY ChaDar Orrh Kar...!

SoYa Hai Bewafa Yar Naram Bister PaY ChaDar Orrh Kar...!



UsaY Kia Khabar Us K DiYe Huwe ZaKham Raat Main Bht DarD DetY Hain...!

Haya ankh0n meiN h0 t0o pardA diL ka hi kAfii hai.

Haya ankh0n meiN h0 t0o pardA diL ka hi kAfii hai.



Be_haya ankheiN h0N t0o IshArAy NaqAbon meiN Bhi h0tay haiN.

6 Jul 2013

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Tumhain Duniya Sikhaa De Gi Siyasat Dekhtay Jaao.



Barre Onche Suroon Mein Baat Kartay Ho Mohabbat Ki,

Mohabbat Hai Khasaaroon Ki Tijarat Dekhtay Jaao.



Hum Apne Phool Se Jazbay Bikhrain Ge Fizaoon Mein.

Chale Gi Hum Se Khushboo Ki Riwayat Dekhtay Jaao.



Rida-e-Khuwaab Ko Hum Noor Ki Barish Mein Dhoain Gay,

Mohabbat Ko Banaa Dain Gay Ibadat Dekhtay Jaao.



Humaari Arzooun Ko Khuli Parwaaz Karnay Do,

Karay Ga Aasmaan In Ki Hifazat Dekhtay Jaao.



Hum Apni Aatish-e-Jaan Se Jalaain Gay Diye Har Soo,

Humaare Lafaz Baanten Ge Hararat Dekhtay Jaao...

Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai.

Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai.

Phir Uss Ne Kitaboon Pe Mera Naam Likha Hai.



Yeh Dard Musalsal Meri Duniya Mein Rahey Ga.

Kuch Soch Ke Uss Ne Mera Anjaam Likha Hai.



Jiss Ne Meri Jaanib Kabhi Murr Kar Nahi Dekha.

Uss Shakhs Ke Hathoon Pe Mera Naam Likha Hai.



Main Kaisey Jiyun Us Se Bichar Kar.

Meri Har Saans Pe Us Ka Hi To Naam Likha Hai.

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Kar Loon,

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Kar Loon,

Ya Tazkara Anaar Kali Saleem K Darbar Ka Kar Loon,



Din Es Qadar Tohamaten Mujhe Aalam-E-Ishq Ne,

Sochta Hoon Rukh Apna Bhi Saf-E-Aghyar Ko Kar Loon,



Kehta Hai Ghalib Ishq Bhi Aik Kaam Hota Hai,

Chalo Phir Fikar Darvesh, Apne Rozgaar Ka Kar Loon,



Gunah-E-Ishq Sunta Hoon Main, Sadiyoon Se Jaari Hai,

Main Jaata Hoon K Aik Tawaaf Apne Dildar Ka Kar Loon,



Azan-E-Husan Deti Hai Tere Rukhsar Ki Masjid,

Ijazat Ho Darvesh, Hoonton Se Aik Sajda Piyar Ka Kar Loon..

Tanhaai K Sehra Mein, Youn Chorr K Chal Dena!

Tanhaai K Sehra Mein,

Youn Chorr K Chal Dena!

Choti C Shikayat Par,

Munh Morr K Chal Dena!

Ye Kesi MOHABBAT Hai?



Ye Kesi Rafaqat Hai?

Gar Pas-e-WAFA Rakh Kar,

Tum Maan Barha Dete!



Be'Laus Rafaqat Par,

Emaan Barha Dete!

Main Fakhar Se

Phir Kehta!



Tum

Jaan-e-Rafaqat Ho!

Tum

Baab-e-MOHABBAT Ho!

Tehreer-e-Sadaqat Ho!

Ye Sub Hai

Magar Tab Bhi!



Hai Mujh Ko Yaqeen Ab Bhi!

Jo Kuch Bhi Kaha Main Ne!

Shikwa Hai

Shikayat Hai

Lekin Ye Haqiqat Hai,



Bus Tum se

MOHABBAT Thee,,

Aur..

Tum se MOHABBAT Hai.!!

Is Dil me Salamat hy ab tak

Is Dil me Salamat hy ab tak

Wo Shokhi-e-Lab wo Hraf-e-Wafa,



Wo Naqsh-e-Qadam wo Aks-e-Hina

So bar jisy choma Hum ne,



Is Dil me Salamat hy ab tak,

Wo Gard-e-Alm wo Deeda-e-Num,



Hum jis me chupa ker rakhty thy,

Tasweer Bikharti Yaadon ki,



Zanjeer pighalty Waadon ki,

Poonji Nakam Iradon ki,

Ay teiz Hawa Naraz na ho,



Is Dil me Salamat hy ab tak,

Kuch Rezy Naram Sawalon k,

Kuch Dar Anmol khayalon k,



Ek Sacha Roop HaQiqat ka,

Ek JHOOTA Lafz MUHABAT ka.

Kaash ! Woh Ek Nayaa Dhang Mere Qatal ka Ejaad Kare...

Kaash ! Woh Ek Nayaa Dhang

Mere Qatal ka Ejaad Kare...



Mar Jaao'n Main Hichkiyoon Se Woh Iss Qadar Yaad Kare....!!

Wo Aadami K Jo Pathhar Tha G Raha Hai Abhi..!

Wo Aadami K Jo Pathhar Tha G Raha Hai Abhi..!

Jo Aainaa Tha Wo KabKa Bikhhar Gaya Muj Mein...!



WaSl Kya K Wo Jab Bhe Qareeb Se Guzra...!

Tou Yun Laga K Koi Raqs Kar Gaya Muj Mein...!



Ye Kis K Soug Mein Shoreedaah Haal Phhirta Hun...

Wo Kon Shakhs Tha Aisa K Mar Gaya Muj Mein...



Wo Sath Tha Tou! Ajab Dhho0p Chhaao'n Rehti Thi...!

Bs Ab Tou Aik He Mosam Thhehar Gaya Muj Mein...!!

Naey Charaagh Liye Shaam-e-Be-Kasi Aai,

Naey Charaagh Liye Shaam-e-Be-Kasi Aai,

K Dil Bujha To Sitaaron Me Roshni Aai.



Junoon-E-Shauq Ne Pohncha Dia

Kahaan Mujh Ko,

Nigaah-e-Dost Bhi Aksar Thaki Thaki Aai.



Hamaary Paas Kahaan Aansu'on Ki Soghaaten,

Kisi Ko Apna Bna K Barri Hansi Aai.



Jahaan-e-Daar-o-Rasn Ho K Bazm-e-She'r-o-Sharaab,

Hamaary Saamny Apni Hi Zindagi Aai.



Tumhaari Yaad Ko Aaraam-e-Jaan Bnaaya Tha,

Tumhaari Yaad Bhi Lekin Kabhi Kabhi Aai.



Hazaar Rang Diye Jis Ne Zindagaani Ko,

Usi Nazar Se Mahabbat Me Saadgi Aai.



Mery Khuloos Ka Aalam Na Poochhiye

Shikast-e-Jaam Se Aawaz-e-Zindagi Aai..

Apni Zaat Se Nikal kar Tumhain Tanha Chahon,,

Apni Zaat Se Nikal kar Tumhain Tanha Chahon,,

Maloom Tum ko B Na Ho Tumhain Itna Chahon..



Meri Her Saans Tumhari Amanat H0,,

Mujhe Aur Batao Tumhain kitna Chahon..



Mery khoon ki boond boond wafa main doobi hui hai,

Tum soch Bhi na pao main Tumhain itna Chahon.



Kisi k Dil main Na Ho gi Aisi Chahat,

Koi kisi ko Na Chahy main Tumhain jitna Chahon.



Tum mujhy Bus Chahny ki Tamana kar Lo Jana!

Tumhain Jitni Hai Talab main Tumhain Utna Chahon.

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Yeh Sama Badal Na Jaye

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Yeh Sama Badal Na Jaye

Na Jhukao Tum Nigahen Kahin Rat Dhal Na Jaye



Mery Ashk ßhi Hain Is Me Yeh Sharab Ubal Na Jaye

Mera Jaam Choone wale Tera Hath Jal Na Jaye,



Abhi Rat Kuch Hai Baqi Na Utha Nakab Saqi,

Tera Yar Girte Girte Kahin Phir Sambhal Na Jaye ...

Aj Ranj-o-Gham sahi,kal Din khushi k ayenge

Aj Ranj-o-Gham

sahi,kal Din khushi k ayenge



Dheere Dheere Dil Ko Yun Behla Rahi Hai Zindgi.....!

Hairton k silsly Soz-e-Nihaan tak aa gaye,

Hairton k silsly Soz-e-Nihaan tak aa gaye,

Ham Nazar tak chahty thy tum tu Jaan tak aa gaye.



Unki palkon par sitary apny honton py hansi,

Qisa-e-Gham kehty kehty ham kahan tak aa gaye.



Apni apni justju hy apna apna shoq hy,

Tum Hansi tak b na pohnchy ham Faghaan tak aa gaye.



Rafta rafta Rang laya Jazba-e-Khamosh Ishq,

Wo Taghaful karte karte Imtihan tak aa gaye.



Khud tumhen Chaak-e-Gireybaan ka Shaoor aa jaye ga,

Tum Wahan tak aa tu jao hum jahan tak aa gaye.

Na Jane Kiya Kami Mujh Main,

Na Jane Kiya Kami Mujh Main,

Na Jane Kiya Hai Khoobi Uss Main......

Wo Mujh Ko Paa Nahi Sakti, Main Uss ko Chor Nahi Sakta......

Wo Mujh Se Rotha Mujhe Manzoor Hai

Wo Mujh Se Rotha Mujhe Manzoor Hai



Yaaro Uss Say Kaho Mera Shehar To Na Chorry...!!

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Jaanay kis dais gaye khuwab humaaray le kar,



Wo jo aasuda-e-sahil hain unhein kiya maloom,

Ab k mouj aayi to paltay gi kinaaray le kar,



Aisa lagta hai k har mousam-e-hijraa'n mein bahaar,

Hoont rakh deti hai shaakhon pe tumhaaray le kar,



Shehar waloon ko kahaan yaad hai wo khuwab farosh,

Phirta rehta tha jo galiyoon main ghubaaray le kar,



Nakd-e-jaan surf huwa kalft-e-hasti mein 'Faraz'

Ab jo zinda hoon tu kuch saans odharay le kar..

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Raat Bhi Aaj Ki Raatoon Se Judaa Lagti Hai,

Bheegi Bheegi Si Jo Aati Hai Meri Khirrki Se,

Mujh Ko To Yeh Tere Aanchal Ki Hawaa Lagti Hai,

Roz Mein Ik Naye Toofan Ko Sar Karta Hoon,

Dekhiye Kiss Ki Mujhe Aaj Dua Lagti Hai,

Log Kehtay Hain K Woh Aam Si Ik Soorat Hai,

Mujh Ko To Saaray Zamaane Se Judaa Lagti Hai,

Zeher Bhi Dein Tu Main Pee Jaaon Uss Se

"YARO"

Un Ke Haathoon Se To Har Cheez Dawaa Lagti Hai.......!!!

4 Jul 2013

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main...*
Dard Tum Jagatay Ho
Bewajah Sataatay Ho,
Mousamoun Ke Lutf Ko Tum
Dard Main Bahaate Ho,
Zindagi Ke Naam Say Tum
Jee Mera Jalaate Ho,
Lutf  Ke Sab He Lamhay
Yaad Main Ganwaate Ho,
Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main,
Tum Kyon Itna Yaad Aatay Ho...*

1 Jul 2013

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein,

Agar Dil Haar Bethe Ho..
Mere Hamdum Mohabbat
Mein,

Fana Kesi Baqa Kesi Saza
Kesi Jaza Kesi......??

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke KiaNaam Tha Uska.



Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia
Naam Tha Uska.
Jis Shakhs Ko Manga Tha
Manajaat Ki Manind.
Kis Darja Muqaddas Hai Tere
Qurb Ki Khwahish.
Masoom Se Bache Ke
Khayalat Ki Manind.
Us Shakhs Se Milna Mera
Mumkin Hi Nahi Tha.
Mein Piyaas Ka Sehra Hun
Woh Barsaat Ki Manind.
�Mohsin� Usey Samjhao Ke
Ab Reham Kare Who.
Dukh Bant�ta Phirta Hai Woh
Soghaat Ki Manind.

Itna Be�taab Na Ho Mujh SeBicharne Ke Liye,



Itna Be�taab Na Ho Mujh Se
Bicharne Ke Liye,

Tujh Ko Aankhon Se Nahi,
Dil Se Juda Karna Hai�

Musalsal Gum Uthanay Say



Musalsal Gum Uthanay Say Ye Behtar Hai Agar Mano,

Kinara Karnay Walo Say Kinara Kar Liya Jaye...!

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...