25 Jul 2013

Rothne wale bata Kaise mana'en Tujhko

Rothne wale bata Kaise mana'en Tujhko



Muskura Dy k Ab jaan pe ban aai hai...

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.

Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.
Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Mil Leta Hai Guftago Ki Had Tak.
Itna Hi Tera Karam Bahut Hai.

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthai Ga.
Dheleez Pe Ek Qadam Bahut Hai.

Mil Jaye Agr Teri Rafqat.
Mujh Ko To Yehi Janam Bahut Hai.

Kia Shab Se Humen Sawal Karna.
Hona Tera Subh Dam Bahut Hai.

Q Bujhne Lage Charagh Mere.
Ab K To Hawa B Kam Bahut Hai.

Chup Q Tujhe Lag Gai Hai PARVEEN.
Sunte Thay K Tujh Me Raim Bahut Hai.

SoYa Hai Bewafa Yar Naram Bister PaY ChaDar Orrh Kar...!

SoYa Hai Bewafa Yar Naram Bister PaY ChaDar Orrh Kar...!



UsaY Kia Khabar Us K DiYe Huwe ZaKham Raat Main Bht DarD DetY Hain...!

Haya ankh0n meiN h0 t0o pardA diL ka hi kAfii hai.

Haya ankh0n meiN h0 t0o pardA diL ka hi kAfii hai.



Be_haya ankheiN h0N t0o IshArAy NaqAbon meiN Bhi h0tay haiN.

6 Jul 2013

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Behalti Jaaye Gi Sarkash Mohabbat Dekhtay Jaao,

Tumhain Duniya Sikhaa De Gi Siyasat Dekhtay Jaao.



Barre Onche Suroon Mein Baat Kartay Ho Mohabbat Ki,

Mohabbat Hai Khasaaroon Ki Tijarat Dekhtay Jaao.



Hum Apne Phool Se Jazbay Bikhrain Ge Fizaoon Mein.

Chale Gi Hum Se Khushboo Ki Riwayat Dekhtay Jaao.



Rida-e-Khuwaab Ko Hum Noor Ki Barish Mein Dhoain Gay,

Mohabbat Ko Banaa Dain Gay Ibadat Dekhtay Jaao.



Humaari Arzooun Ko Khuli Parwaaz Karnay Do,

Karay Ga Aasmaan In Ki Hifazat Dekhtay Jaao.



Hum Apni Aatish-e-Jaan Se Jalaain Gay Diye Har Soo,

Humaare Lafaz Baanten Ge Hararat Dekhtay Jaao...

Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai.

Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai.

Phir Uss Ne Kitaboon Pe Mera Naam Likha Hai.



Yeh Dard Musalsal Meri Duniya Mein Rahey Ga.

Kuch Soch Ke Uss Ne Mera Anjaam Likha Hai.



Jiss Ne Meri Jaanib Kabhi Murr Kar Nahi Dekha.

Uss Shakhs Ke Hathoon Pe Mera Naam Likha Hai.



Main Kaisey Jiyun Us Se Bichar Kar.

Meri Har Saans Pe Us Ka Hi To Naam Likha Hai.

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Kar Loon,

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Kar Loon,

Ya Tazkara Anaar Kali Saleem K Darbar Ka Kar Loon,



Din Es Qadar Tohamaten Mujhe Aalam-E-Ishq Ne,

Sochta Hoon Rukh Apna Bhi Saf-E-Aghyar Ko Kar Loon,



Kehta Hai Ghalib Ishq Bhi Aik Kaam Hota Hai,

Chalo Phir Fikar Darvesh, Apne Rozgaar Ka Kar Loon,



Gunah-E-Ishq Sunta Hoon Main, Sadiyoon Se Jaari Hai,

Main Jaata Hoon K Aik Tawaaf Apne Dildar Ka Kar Loon,



Azan-E-Husan Deti Hai Tere Rukhsar Ki Masjid,

Ijazat Ho Darvesh, Hoonton Se Aik Sajda Piyar Ka Kar Loon..

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...