30 Jan 2016

Sirf Khuwaabon Ka Ye Dhoka Nahi Tabeer Bhi De

Sirf Khuwaabon Ka Ye Dhoka Nahi Tabeer Bhi De
Naqsh Ko Rang Ata kar Koi Tasweer Bhi De

Meray Nuskhey Mein jo Likhi Hain Duaaein TU Ne
Be Asar Hain Ye Abhi Tak Inhein Taseer Bhi De

Ye Jo TU Roz Palat Aata Hai Apni Jaanib
Wo Sada Ban Jo Khalaaon Ka Jigar Cheer Bhi De

Khoob Haathon Pe Lakeeron ko Sajaaya TU Ne
Ab Inhein Shaan k Shaayan Koi Taqdeer Bhi De

Ye Jo Be Simat Bhataktey Hain Khayaalon k Naqoosh
In ko Lafzon Se Mila Aur Koi Tehreer Bhi De

Shaad Hoon Is Liye Dar Khulta Nahi Mujh Pe Koi
Is Udaasi Mein Sada Ab Koi Dilgeer Bhi De

Qatal Karna Tha tu Mehndi Bharay Hathon say Karti

Qatal Karna Tha tu Mehndi Bharay Hathon say Karti
Rang e Ulfat Bhi Rahay Khoon Ki Holy Bhi Rahay 

Baad 0 Baran Ki Tarha Taaluq Rakh Lo Hum Say 
Parda Dari Bhi Rahay Aankh Macholi Bhi Rahay

Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai

Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai
Tullu E Subh Ka Manzar Ubharty Hum Ny Dekha Hai

Ajab Tha Us Ki Angrai Ka Aalam Pesh Manzar Mein
Bahaaron KO Qataaron Mein Utartay Hum Ny Dekha Hai

Boht Hi Naaz Karta Tha JO Apni Sarfrazi Par
Haseen VO Chaand
Dariya Mein Utraty Hum Ny Dekha Hai

KOi TO Shakhs Bhi HOta
Jisy Hum Humsafar Kehty
Jisy Dekha Usy Rassta Badaltay Hum Ny Dekha
Hai

Milaai Roshni Sy Jab Nazar Tu Ny Mery Hum Dam
Teri Aankhon Mein Chandaa KO Sanwartay Hum Ny Dekha Hai

Nadi Thi Pursakon Pani Bhi Tha Thehra Huwa
Achanak Aik Pathar Sy Bipharty Hum Ny Dekha Hai

Chup Na Raho Be Chain Musafir

Chup Na Raho Be Chain Musafir
Beet Chali Hai Rain Musafir

Aur Nahi To Dil K Bare
Kuch To Kahein Ge Nain Musafir

Jangal Mein Koyel Kurlaye
Har Soo Gonjein Been Musafir

Tairi Aas Mein Ro Daiti Hain
Sham Dhale Tarfain Musafir

Gard Mein Gard Hua Aakhir Ko
Raston K Mabeen Musafir

Paon Se Jane Kon Utare
Chhalon Ki Naeleen Musafir

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhi Samjhaaney Ko

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhi Samjhaaney Ko
Is Se Kiya Faraq Parray Ga Teray Deewaaney Ko

Jis Qadar Weham Hain Sab Us K Atta KarDaa Hain
Liye Phirtaa Hoon Kisi Aur K Butt Khaaney Ko

Ye Hunar Wo Hai Jo Dil Se Kabhi Seekha Na Gaya
TU Ne To Jorr Liya Torr K Paimaaney Ko

Kiya Koi Khail Hai Be Naam o Nishaan Ho Jaana
Waisey Shamma Bhi Tayaar Hai Jall Jaaney Ko

Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Se MulaaQaat Huwi
Main Milaa Hoon Kisi Jaaney Huwe Anjaany Ko

Aaj K Dukh Bhi Kisi Se Nahi Jhailay Jaatey
Yaad Matt Kar Kisi Bhooley Huwe Afsaanay Ko

Door Tak Raat Ki Aankhon Mein Kaheen Neend Nahi
Itna Sannata Hai K Aaye Koii Tarrpaanay Ko

Zindagi Bhar Mein Koi Shai To Mukammal Kar Lein
Aao Labraiz Karein Sabar K Paimaanay Ko

Ye Alag Baat K Eik Boond Muqqadar Mein Na Thi
Sar Pe So Baar Ghata Chaai Rahi Chaaney Ko

Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Shaam e Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahi Parwaaney Ko

27 Jan 2016

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...