2 Dec 2014

Dillon se kab nikaltay hain Mohabbat jin se ho jaye..

Bhool Jaana aur bhula dena faqat ik
weham hai...

Dillon se kab nikaltay hain Mohabbat jin se ho jaye..

1 Dec 2014

Ab b Har December MeinUss Ki Yaad Aati Hay...!!!

Mujh Se Poochtey Hain Log
Kis Liye December Mein
Yun Udas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi k Janey Ka
Sog Main Manata Hoon


Sardion k Mausam Mein
Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Se Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain

Aap b Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho k Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Mein
Kis Mazey Se Phirtey Hain
Shaal b Mujhay Dey Di
Coat b Oorrha Dala
Phir b Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijiye Sweater
Aap k Liye Main Ne
Bun Liya Tha Do Din Mein

Kitna Maan Tha Uss Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay

Kitni Mukhtalif Thi Vo
Sab Se Munfarid Thi Vo
Apni Aik Lagzish Se
Main Ne Kho Diya Uss Ko
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay...!!!

Dekh December Ab Mat Aana__

Dekh December Ab Mat Aana
Dekh December Mere Ander
Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
Tanhayi Ki Rait Ne Mere
Saaray Darya Paat Diye Hain
Ab Main Hoon
Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hay
Dekh December
Teri BarFaab Shaboon Mein
Teri BeKhuwab Shaboon Mein
Khuwab Sweater Kon Bunay Ga
Rooh k Ander Girti Barfein Kon Chunay Ga
Dekh December Ab Mat Aana
Aur Agar Tu Aye b To
Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar
Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana
Mere Pyaroon Tak Mat Jana
Dekh December Ab Mat Aana

30 Nov 2014

Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne,

Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh
dekha tu ne,

Kis qadar hoslaa haarey huye insaan
mein hai..

Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,

Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho
Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho
Jana,

Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki
Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho
Jana,

Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho
Jana,

Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka
Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana

29 Nov 2014

Ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha,

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha,

Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa
geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,

Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai,
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,

Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha,
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,

Ab agley zamaney ke milain log to
poochain,
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,

Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha,
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha..

Band Mujh Par Jab Us K Ghar Ka Darwaza Howa...

Hath Mere Bhool Bethe Dastakein Dene Ka Fan...?
?
Band Mujh Par Jab Us K Ghar Ka Darwaza Howa...

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...