6 Jul 2013

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Yeh Sama Badal Na Jaye

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Yeh Sama Badal Na Jaye

Na Jhukao Tum Nigahen Kahin Rat Dhal Na Jaye



Mery Ashk ßhi Hain Is Me Yeh Sharab Ubal Na Jaye

Mera Jaam Choone wale Tera Hath Jal Na Jaye,



Abhi Rat Kuch Hai Baqi Na Utha Nakab Saqi,

Tera Yar Girte Girte Kahin Phir Sambhal Na Jaye ...

Aj Ranj-o-Gham sahi,kal Din khushi k ayenge

Aj Ranj-o-Gham

sahi,kal Din khushi k ayenge



Dheere Dheere Dil Ko Yun Behla Rahi Hai Zindgi.....!

Hairton k silsly Soz-e-Nihaan tak aa gaye,

Hairton k silsly Soz-e-Nihaan tak aa gaye,

Ham Nazar tak chahty thy tum tu Jaan tak aa gaye.



Unki palkon par sitary apny honton py hansi,

Qisa-e-Gham kehty kehty ham kahan tak aa gaye.



Apni apni justju hy apna apna shoq hy,

Tum Hansi tak b na pohnchy ham Faghaan tak aa gaye.



Rafta rafta Rang laya Jazba-e-Khamosh Ishq,

Wo Taghaful karte karte Imtihan tak aa gaye.



Khud tumhen Chaak-e-Gireybaan ka Shaoor aa jaye ga,

Tum Wahan tak aa tu jao hum jahan tak aa gaye.

Na Jane Kiya Kami Mujh Main,

Na Jane Kiya Kami Mujh Main,

Na Jane Kiya Hai Khoobi Uss Main......

Wo Mujh Ko Paa Nahi Sakti, Main Uss ko Chor Nahi Sakta......

Wo Mujh Se Rotha Mujhe Manzoor Hai

Wo Mujh Se Rotha Mujhe Manzoor Hai



Yaaro Uss Say Kaho Mera Shehar To Na Chorry...!!

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Jaanay kis dais gaye khuwab humaaray le kar,



Wo jo aasuda-e-sahil hain unhein kiya maloom,

Ab k mouj aayi to paltay gi kinaaray le kar,



Aisa lagta hai k har mousam-e-hijraa'n mein bahaar,

Hoont rakh deti hai shaakhon pe tumhaaray le kar,



Shehar waloon ko kahaan yaad hai wo khuwab farosh,

Phirta rehta tha jo galiyoon main ghubaaray le kar,



Nakd-e-jaan surf huwa kalft-e-hasti mein 'Faraz'

Ab jo zinda hoon tu kuch saans odharay le kar..

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Raat Bhi Aaj Ki Raatoon Se Judaa Lagti Hai,

Bheegi Bheegi Si Jo Aati Hai Meri Khirrki Se,

Mujh Ko To Yeh Tere Aanchal Ki Hawaa Lagti Hai,

Roz Mein Ik Naye Toofan Ko Sar Karta Hoon,

Dekhiye Kiss Ki Mujhe Aaj Dua Lagti Hai,

Log Kehtay Hain K Woh Aam Si Ik Soorat Hai,

Mujh Ko To Saaray Zamaane Se Judaa Lagti Hai,

Zeher Bhi Dein Tu Main Pee Jaaon Uss Se

"YARO"

Un Ke Haathoon Se To Har Cheez Dawaa Lagti Hai.......!!!

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...