20 Apr 2016

Ek Bewafaa Ko Hum Ne Iss Dil Mein Jaga Di Thi.

Ek Bewafaa Ko Hum Ne Iss Dil Mein Jaga Di Thi.
Khuwaabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi.

chaha tha ose ham ne khud se b boht badh kar.
Oss Chahat Main ham Ne Yeh Hassti Mitta di thi.

Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga.
Uss Per Bharoosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi.

Sochaa Tha Saath Mill Ke Kaatenge Zindagi Ko.
Uss Ney To Aik Pal Main Har Baat Bhulaa Di Thi.

Kesa Sitam he deko Wo kab se juda Hai Mujh Se.
Apni Zinddagi Jiss Kaa Saayaa Saa Banaa Di Thi.

Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar.
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi.

meri jaan waapsi kaa aik raasta rakhna perrta hai.

meri jaan waapsi kaa aik raasta rakhna perrta hai.
ta'aluk toot bhi jaye tu rishtaa rakhnaa perrta hai.

jinhe hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain.
jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai.

humaari rooh ki hiddat ko jo naa sard perrney dey.
hume apne badan may esa shola rakhna perrta hai.

tujhe ger apni baatain na sunawon!tu kahan jaon?
ke tere samney is dil ka sheesha rakhna perta hai.

sadaa aabaad rakhe jo teri yaadon ko iss dil main.
ke aane saath ik esaa bhi lemha rakhna perta hai.

humare dil main chahe chand jesi lakhon galian ho.
andherey ke liye bhi aik raastaa rakhna perrta hai.

bhale jitney bhi dukh, jitne bhi gham hum ko milain.
mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta hai.

Qissey Teri nazar ne sunaaye naa phir kabhi.

Qissey Teri nazar ne sunaaye naa phir kabhi.
ham ne bhi dil ke daagh dikaye na phir kabhi.

A yaad-e-dost aaj tu jee bhar ke dil dukhaa.
shaayed yeh Raat hijar ki aaye na phir kabhi.

Mere barey main hawawoon se wo kab phochega.

Mere barey main hawawoon se wo kab phochega.
khaak jabb khaak main mil jaayeggi tab phochega.

Ghar basane main ye khatra hay ke ghar ka malik.
Raat main dair sey aaney kaa sabbab phoochega.

Apnaa gham sab ko bataana hay tamaasha karna.
Haal-e-dil us ko sunaayeingein wo jab phoochega.

jab bicharrnaa hai to hanstey hoye jana warnaa.
har koyi Rooth key jaaney kaa sabbab phoochega.

19 Apr 2016

kisi ki Yaad Main Palkkain Zaraa bhigoo letey

kisi ki Yaad Main Palkkain Zaraa bhigoo letey.
Uddaass Raat ki Tanhaaiyoon Main Roo letey.

dukhoon kaa bojh akeley nahi sambhalta hay.
kahi woh miltaa tu oss se lippat ke roo letey.

agar saffar main bhi hamaara hamsafar hota.
barri khoushi se inhi patharoon pe soo letey.

tumhari raah main shakho pe phol sook gaye.
kabhi hawaa ki taraah iss taraff bhi ho letey.

yeh kiyaa ke Roz wahi chaandni ka bistar ho.
Kabhi tu Dhoop ki chaadar bicha ke so letey.

toota zaroor hoga bicharrne ke baad woh.

toota zaroor hoga bicharrne ke baad woh.
Tarrpa zaror hoga bicharrne ke baad woh.

kehta nahi kisi se magar jaante hain ham.
rooya zaror hoga bicharrne ke baad woh.

phailaa ke apne gird tasaawir or khutoot.
Bikra zaroor hoga bicharrne ke baad woh.

Rato k sayen saayen may tanhayio k bich.
jaaga zaror hogaa bicharrne ke baad woh.

Utt-tey qadam hamari taraf roktey hoye.
Uljha zaroor hoga bicharrne ke baad woh.

har zakham ka illaaj masihaayei main nahi.
samjha zaror hoga bicharrne ke baad woh.

Ab Tere Merey Beech koi fasila bhi ho.

Ab Tere Merey Beech koi fasila bhi ho.
ham loog jab milein tu koi dossraa bhi ho.

tu jaantaa nahi meri chaahatt ajeeb hay.
mujh ko mana raha hay kabhi khod khafa bhi ho.

tu bewafa nahi hay magar bewafaayi kar.
uss ki nazar mey rehne ka koi silsila bhi ho.

pat jarrh ke toot-the hoye patoo ke sath sath.
mosam kabhi tu badlega ye aasraa bhi ho.

chup chap uss ko beth ke dekho tammam raat.
jaagaa howaa bhi ho koi sooya howa bhi ho.

uss ke lie tu main ne yahaa tak dua'aien ki.
Meri tarhan se koi ussey chaahtaa bhi ho.



_________________

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...