6 Jul 2013

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Woh jo aa jatay thay aankhoon mein sitaaray le kar,

Jaanay kis dais gaye khuwab humaaray le kar,



Wo jo aasuda-e-sahil hain unhein kiya maloom,

Ab k mouj aayi to paltay gi kinaaray le kar,



Aisa lagta hai k har mousam-e-hijraa'n mein bahaar,

Hoont rakh deti hai shaakhon pe tumhaaray le kar,



Shehar waloon ko kahaan yaad hai wo khuwab farosh,

Phirta rehta tha jo galiyoon main ghubaaray le kar,



Nakd-e-jaan surf huwa kalft-e-hasti mein 'Faraz'

Ab jo zinda hoon tu kuch saans odharay le kar..

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Badli Badli Si Zamaane Ki Fizaa Lagti Hai,

Raat Bhi Aaj Ki Raatoon Se Judaa Lagti Hai,

Bheegi Bheegi Si Jo Aati Hai Meri Khirrki Se,

Mujh Ko To Yeh Tere Aanchal Ki Hawaa Lagti Hai,

Roz Mein Ik Naye Toofan Ko Sar Karta Hoon,

Dekhiye Kiss Ki Mujhe Aaj Dua Lagti Hai,

Log Kehtay Hain K Woh Aam Si Ik Soorat Hai,

Mujh Ko To Saaray Zamaane Se Judaa Lagti Hai,

Zeher Bhi Dein Tu Main Pee Jaaon Uss Se

"YARO"

Un Ke Haathoon Se To Har Cheez Dawaa Lagti Hai.......!!!

4 Jul 2013

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main...*
Dard Tum Jagatay Ho
Bewajah Sataatay Ho,
Mousamoun Ke Lutf Ko Tum
Dard Main Bahaate Ho,
Zindagi Ke Naam Say Tum
Jee Mera Jalaate Ho,
Lutf  Ke Sab He Lamhay
Yaad Main Ganwaate Ho,
Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main,
Tum Kyon Itna Yaad Aatay Ho...*

1 Jul 2013

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein,

Agar Dil Haar Bethe Ho..
Mere Hamdum Mohabbat
Mein,

Fana Kesi Baqa Kesi Saza
Kesi Jaza Kesi......??

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke KiaNaam Tha Uska.



Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia
Naam Tha Uska.
Jis Shakhs Ko Manga Tha
Manajaat Ki Manind.
Kis Darja Muqaddas Hai Tere
Qurb Ki Khwahish.
Masoom Se Bache Ke
Khayalat Ki Manind.
Us Shakhs Se Milna Mera
Mumkin Hi Nahi Tha.
Mein Piyaas Ka Sehra Hun
Woh Barsaat Ki Manind.
�Mohsin� Usey Samjhao Ke
Ab Reham Kare Who.
Dukh Bant�ta Phirta Hai Woh
Soghaat Ki Manind.

Itna Be�taab Na Ho Mujh SeBicharne Ke Liye,



Itna Be�taab Na Ho Mujh Se
Bicharne Ke Liye,

Tujh Ko Aankhon Se Nahi,
Dil Se Juda Karna Hai�

Musalsal Gum Uthanay Say



Musalsal Gum Uthanay Say Ye Behtar Hai Agar Mano,

Kinara Karnay Walo Say Kinara Kar Liya Jaye...!

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...