11 May 2016

Ek bose ke talabgaar hain ham.

Ek bose ke talabgaar hain ham.

Aur maangein to gunahgaar hain ham.

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi.

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi.

Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai.

Tum Aty Ho Chale Jate Ho.

Tum Aty Ho Chale Jate Ho.

Main Jurti Hun Toot Jati Hun.

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota.

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota.

Kaash Main Teri Mohabbat Ka Na Aadi Hota.

Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain.

Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain.

Bohat Bikhre Hue Hote Hain Aise Log Andar Se.

Mohabbat Phool Jesi Hai.

Mohabbat Phool Jesi Hai.

Yaqeenan Bik Bhi Sakti Hai.

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto.

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto.

Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath.

Dil ne maani hi nahi meri warna

Dil ne maani hi nahi meri warna 

Main tujhe bhoolne k haq men hun

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib

Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Adaa K Qissay Hue Purany

Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

Karenge Tum Se Hisaab Jana

Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana

Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko

Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge.

9 May 2016

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

Wos'at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

Na rasae ko rastay mushkil !
Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

Door say piyar ko sarab, chanab
Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

Dastras ka tlism hay warna
Sa'at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot

Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin
Mudat Se Youhi Khak Basar He Tera Mohsin

Shayed Kisi Rasty Ki Hawa Teri Khabar De
Is Wasty Masroof E Safar He Tera Mohsin

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray

Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray

Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein  Aap Ko Giraan Guzray

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa

Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Ab toH chehrun pay bhi katbuo'n ka ghuman hota hai
AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay
Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FARAZ
Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney

Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai
aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai

Jis ne meri jazbon ki sadaqat ko na samjha
ub meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai

Iss dil ke kharabey se guzar kiska hua hai
Aankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh se
Iss sheher ki dewaar pe likha bhi wohi hai

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney
Badal ki tarhan aankh se barsa bhi wohi ha

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain
kar chuki meray dil mein ghar aankhain

chasham-e-nargis ko dekh lain phir hum
tum dikhaa do jo ik nazar aankhain

hai dawaa unki aatish-e-rukhsaar
senktay hain iss aag par aankhain

koi aasaan hai tera deedaar
pahlay banwaaye tow bashar aankhain

jalwaah-e-yaar ki na taab huwee
Toot aayi hain kis qadar aankhain

dil ko to ghoont-ghoont kar rakhhaa
maanti hi nahi magar aankhain

na gayi taank jhaank ki aadat
liye phirtii hain dar ba dar aankhain

kyaa yeh jaadoo_bhara na thha kaajal?
surKh kar li jo paunch kar aankhain

naavak-o-neeshtar teri palkain
sihr-pardaaz-o-fitnaagar aankhain

yeh niraala hai sharm ka andaaz
baat kartay ho dhaank kar aankhain

Khaak par kiyun ho naqsh-e-paa tera
hum bichhayen zameen par aankhain

nohaagar kaun hai muqaddar par
ronay waalon mein hain magar aankhain

yehi rona hai gar shab-e-Ghum ka
phooT jaayengi taa seher aankhain

Haal-e-dil dekhna nahi aata
dil ki banwaayen chaaragar aankhain

''DaaGh'' aankhain nikaaltay hain woh
unnko de do nikaal kar aankhain

main bhool jati hoon her subah tera naam mager

kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko

ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko

safer abhi to zara sa kia hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai
charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal
jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko

ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho.

ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho.

ye zindagi to nek iraadon main hi kat gai.


Teri aankhon ko parhte hain

Teri aankhon ko parhte hain

Tujhe dekha nahi karte...

6 May 2016

Tujhse Mohabbat ke Liye Teri Moujudgi ki Zarurat nahi....

Tujhse Mohabbat ke Liye Teri Moujudgi ki Zarurat nahi....

Meri Rag-Rag me Teri Rooh ka Ehsaas Kafi hai.

Mere Baad Kisi Ko Apna Humsafar Bana k Dekhlena

Mere Baad Kisi Ko Apna Humsafar Bana k Dekhlena 

Teri Hi Dhadkan Kahegi Uski Wafa Mein Kuch Or Baat Thi..

Ye ishq, pyar, mohbbat shok ameero ke hain.

Ye ishq, pyar, mohbbat shok ameero ke hain.

Hum greeb toh bas khelne ke kaam aate hain inke.

Jab muhabbat karni hai to phir halaat se darna kaisa,

Jab muhabbat karni hai to phir halaat se darna kaisa,

Jung laazim ho to lashkar nahi dekhy jate.

KiSmat Sath Na Dy T0 M0ha��at Nafrat Main �aDaL Jati Hy

KiSmat Sath Na Dy T0 M0ha��at Nafrat Main �aDaL Jati Hy

TUM Ne Dekha H0 Ga K Kanta LGny Pr L0�G Ph0�L K0 � Phank Dety Hain.

Maloom tha Kuch nahi hoga Haasil Lekin.

Maloom tha Kuch nahi hoga Haasil Lekin.

Wo Ishq hi Kya Jisme Khud ko na Gwaya jaye

Mohobbat aur Maut ki pasand to dekho

Mohobbat aur Maut ki pasand to dekho

Ek ko Dil chaiye aur dusre ko Dhadkan

4 May 2016

Jis din yaad kare ga meri mohobat ko

Jis din yaad kare ga meri mohobat ko 

Us din bohot roye ga khud ko bewafa keh kar

Kyun Aankh Mai Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hai,

Kyun Aankh Mai Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hai, 
Chup Reh Mery Ham Watan Qiyamat Ki Ghari Hai, 

Hota He Kuch Gumaan Sa Maidaan-E-Hashar Ka, 
Har Aik Musalman Ko Apni Hi Pari Hai, 

Mit Jaye Mera Dais Ye Halaat Bana Kar, 
Atraaf Ki Har Kom Tamashy Pe Khari Hai, 

Phir Surkh Surkh Hai Mery Daryaon Ka Pani, 
Lagta Hai Kaheen Khon Ki Barsaat Pari Hai, 

In Zalimon Ko Jarr Se Mita De Ay Mere RAB, 
Sab Hath Uthao K DUAOON Ki Ghari Hai

Kitne Door Chale Gaye Hain Mujhe Tanha Chor Kar

Kitne Door Chale Gaye Hain Mujhe Tanha Chor Kar

Un Ko Maloom Bhi Tha Mere Pas Koi Aur Nahi Un K Siwa...

Dil Behlany K Liye Guftagu Kar Liya Karo

Dil Behlany K Liye Guftagu Kar Liya Karo

Maloom To Humy Bhi Hai K Hum Tumhe Ache Nahi Lagte...

Gawah Milta Hai Is Ka Na Laash Milti Hai

Gawah Milta Hai Is Ka Na Laash Milti Hai

Log Isi Liye "Ehsas" Qatal Karte Hain

Thokar Jahan Lagi Wo Sambhalne Ka Tha Maqam

Thokar Jahan Lagi Wo Sambhalne Ka Tha Maqam

Hum Us Ko Ittifaq Hi Gardaantay Rahe...

Husn Dekha To Ungaliyan Kati

Husn Dekha To Ungaliyan Kati

Kya Karenge Agar Khuda Dekha..

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main

Q Khawbon Me Mere Itne Qareeb Chali Ati Ho Tum...

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam
Sans Madham, Waqt Hai Kam

Wasl Rahat, Hijr Matam
Aah Nikle, Mout Marham...

Haqeeqat Se Bohat Door Thin Khawahishen Meri..

Haqeeqat Se Bohat Door Thin Khawahishen Meri..

Phir Bhi Khawahish Thi K Ek Khawab Haqeeqat Hota

3 May 2016

Mom watching bear grylls eating a snake

Hahaha bear gills kill it.

?Reality Check?
Mom watching bear grylls eating a snake
Mom  isko dekho kuch bhi mile kha leta hai or tujhe itne nakhre hain ye nahi khana wo nahi khana..

2 May 2016

Na Rang Aankhon Ka Laal Rkhna.

Na Rang Aankhon Ka Laal Rkhna.

Na Viran Viran Sa Haal Rakhna.

Jo Chahton Main Likhe The Mene.

Wo Lafz Sary Sambhal Rkhna.

Alag Alag Si Ada Dikhana.

Ada Ke Andar Kamaal Rkhna.

Tujhe Mere Dil Ki Mile Hakoomat.

To Shahon Jesa Jalaal Rkhna.

Mari Duaen Hain Sath Tere.

Tum Bas Apna KHAYAL RAKHNA

Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam

Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam
Yeh husun-e-sakhawat bhi dikhlao kisi shaam

Khushboo se mohabbat ki moattar karo saansen
Kandhay pe mere zulf ko bikhrao kisi shaam

Main chashm-e-haqeeqat se tere pyar ko dekho
Anchal meri ankhon pe bhi lehrao kisi shaam

Daaman meri chahat ka ho labraiz haya se
Baahon main meri sharm se bal khao kisi shaam

Maalik se kabhi maango dua mere liye bhi
Haathon ko mere waastay pehlao kisi shaam

Waadon pe jeeta raha hon tere ab talak
Bohat yeh ho chuka,ab aa jao kisi shaam....

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain
Be-emaan log hifazat main chale aye hain

Yun laga hum ko tere dil main utar ke jese
Baadshah apni riyasat main chale aye hain

Takhta-dar pe pohanchay to ab sochte hain
Aap ki chahat main kahan chale aye hain

Is jung ke asbaab to maloom nahin hain
Hum to bas Shoq-e-Shahadat main chale aye hain....

Wo shakhs kisi aur ki qismat mein likha tha!

Ewan-e-ghazal jis ki mohabbat mein likha tha,
Wo shakhs kisi aur ki qismat mein likha tha!

Har lamha mera kaatib-e-taqdeer ne shayad,
Zindaan-e-Shab-o-Roz ki wehshat mein likha tha!

Wo shaer kabhi uski nazar se nahi guzra,
Jo doob kar jazbaat ki shiddat mein likha tha!

Ab us k marasim hain meray dushman-e-jaan se,
Paimaan-e-wafa jis ki rafaqat mein likha tha!

Duniya mein to esay koi asaar nahi thay,
Shayad tera milna bhi qayamat mein likha tha!

Tu meray liye kesay badal sakta tha khud ko,
Harjaai hi rehna teri fitrat mein likha tha !!!

sab kuch nisar raah-e-wafa kar chukay hein hum

Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum 
sab kuch nisar raah-e-wafa kar chukay hein hum 


kuch imtihaan-e-dast-e-jafar kar chukay hien hum 
kuch un ki dastrass ka pata chukay hein hum 


ab ehtiyaat ki koi sorat nahi rahi ,
qatil say rasm-o-raah siwa kr chukay hien hum 


dekhin hay koun koun, zarorat nahi rahi 
Koaey sitam men sab ko khafa kr chukay hein 


ab apna ikhtiyaar hay chahein jahan chalein 
rahbar say apni raah juda kar chukay hein 


un ki nazar mein , karin , pheeka hay ab bhi rang 
jitna lahoo tha sarf-e-quba kr chukay hein hum 


kuch apnay dill ki khuu ka bhi shukrana chahye 
so bar un ki khuu ka gila kar chukay hein hum

bewafa tha magar dost tha purana wo

har ashna mein kahan kho-e-mahramana wo
k bewafa tha magar dost tha purana wo


kahan say layee Ab ankhain isay k rakhta tha
adawatoun mein b undaaz mukhlisana wo


jo abar tha to usay toot k barasna tha
ye kya k agg laga k hua rawana wo


pukartay hain mah o saal manziloun ki tarah
laga hay to sun hasti ka taziyana wo


humain bhi gum talbi ka nahi raha yara
taray bhi rang nahi gardish e zamana wo


Ab apni khwahish kya kya usay rulati hay
ye baat hum nay kahi the par na mana wo


ye kahain gay bus surat ashnayee the
jo ahad toot gaya yad kya dilana wo


is aik shakal mein kya kya na suratain dakhin
nigar tha nazar aya nigaar khana wo


faraz khwaab si ghaflat dikhayee daiti hay
jo log jan e jahan thay howay fasana wo

Bohat Tootey Huwey Hain Hum Abhi Dastak Mat Dena

Bohat Tootey Huwey Hain Hum Abhi Dastak Mat Dena
Humari Aankh Hai Pur-Nam Abhi Dastak Mat Dena

Mulaqat-E-Guzishta Ka Bhi Nishaan Nahin Utra
Mairey Saathi Mairey Humdam Abhi Dastak Mat Dena

Abhi To Dard Ke Sailaab Ne Ghaira Nahin Mujh Ko
Abhi To Ashk Hain Kam Kam Abhi Dastak Mat Dena

Mairey Yaaro Abhi Kuch Din Mairey Ahwaal Mat Poocho
Abhi Ghar Mein Hai Uss Ka Gham Abhi Dastak Mat Dena 

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi

Jagmagatey Shehar Ki Ranaiyon Mein Kya Na Tha 
Dhoondney Nikla Tha Jiss Ko Main Wohi Chehra Na Tha

Rait Pay Likhey Huwwy Naamon Ko Parrh Kar Daikh Lo
Aaj Tanha Reh Gaya Hoon Kal Magar Aisa Na Tha

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi
Faasla Barrh Jaaye Ga Itna Kabhi Socha Na Tha

Fikr Ke Dar Pay Koi Aahat Koi Dastak Nahin
Woh Faqat Bimaar Jiss Ka Koi Humsaya Na Tha

Chorr Aaya Jin Safeenon Ko Talatum Kay Qareeb
Na-khuda Unn Mein Tera Shayad Koi Apna Na Tha ...!!

wo jo daway dare ha shahar me ka sabhi ka nabez shanse hoon

wo jo daway dare ha shahar me ka sabhi ka nabez shanse hoon
kabhi aka mujh sa tu pouchata ka main kis ka ghame main udas hon

yeh mari kitabe hayat ha isaay dil ki ankh sa parh zara
main lafz lafz tearay samnaya teray robaru teray pass hon

yeh teari umed ko kya hoa kabhi tu na ghore nahi kya 
kisi shame tu na kha tu tha tari sans hon tari ase hon

yeh tari judayi ka ghme nahi ka yeh silsaly tu hain roze ka 
tari zat is ka sabeb nahi kaie din sa unhe udas hon

kisi ur ki ankh sa dekh ker mujh asay wasy laqabe na day
tera aytebare hon janemen na guman hon na qyas hon

Khud Aik Khawab Tha Woh Mujh Ko Khawab Kya Deta

Dua-e-Neem Shabi Ka Jawaab Kya Deta
Khud Aik Khawab Tha Woh Mujh Ko Khawab Kya Deta

Shaoor-e-Zindgi,Ehsaas-o-Aagahi, Pindaar
Mujhey Woh Iss Say Zyaada Azaab Kya Deta

Har Aik Harf Maira Waqf Tha Ussi Ke Liye
Main Uss Ke Naam Koi Intsaab Kya Deta

Na Gin Saka Jo Mairey Chehrey Ki Lakeerein Tak
Main Dil Ke Zakhmon Ka Uss Ko Hisaab Kya Deta

Maira Bhi Chehra Tha Katba Mitey Sawalon Ka
Thay Uss Ke Hont Bhi Pathar Jawab Kya Deta !

Apni Palkon Pey Sajaati Ho Jinhein Pichley Pehar

Apney Khwabon Mein Kahin Maira Guzar Rahney Do 
Apni Aankhon Mein Kahin Maira Seher Rehney Do...

Dhiyaan Ke Taaq Say Yaadon Ko Hata Do 
Lekin Inn Kitaabon Mein Kahin Maira Asar Rehney Do...

Apni Palkon Pey Sajaati Ho Jinhein Pichley Pehar 
Unn Sitaaron Mein Kahin Maira Safar Rehney Do� 

Apney Lehjey Say Mita Do Mairi Khushboo Chaahey
Apni Baaton Mein Kahin Maira Ziker Rehney Do�

Sab Sitaaron Ke Kayi Chaand Aur Sooraj Hain 
Inn Qataaron Mein Kahin Maira Qamar Rehney Do...

Ikk Naya Shehar Basa Lo Dil-e-Barbad Mein Tum 
Apni Raahon Mein Kahin Maira Nagar Rehney Do...!

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...