20 May 2014

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si
Karti rahi wo hum se baat ajeeb si.

Mili bhi to kuch aisa samajh sake na hum
Lagti hai uski aaj tak mulaqat ajeeb si.

Aur bhi hain dunya me phir mera intekhab
kyon
Shikayat usko thi mere sath ajeeb si.

Har chehre se dhoka khaana ye muqaddar tha
apna
Mili bhi to hum ko ye hayaat ajeeb si.

Ab saari umar "Rizwan" tanha hi jeena hoga
Bicharte waqt wo kar gayi ye baat ajeeb si..

No comments:

Post a Comment

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...