31 Aug 2016

Yoon akelay men usay Ehl-e-wafa yaad aaye,

Yoon akelay men usay Ehl-e-wafa yaad aaye, 
Jaisay banday ko museebat men khuda yaad aaye 

Jaisay ujray huay panchi ko nasheman apna, 
Jaisay apnon k bicharnay pe dua yad aaye. 

Jaisay dhalti huee shamon ko sawera koi, 
Jaisay pinjray men parinday ko Fizaa yaad aaye, 

Jaisay boorhay ko khyalat men bachpan apna, 
Jaisay bachay ko shrarat pe saza yaad aaye. 

Jaisay ujri huee basti ko zamana apna, 
Jaisay tufaan k thehernay pe diya yaad aaye. 

Jaisay palkon k jhapaktay he kinaray bhegen, 
Jaisay us roz, hua kon juda, yaad aaye. 

Jaisay sooraj ki tamazat men ghata yaad aaye,
Yoon akely men usay ehl-e-wafa yaad aaye.

30 Aug 2016

Main us se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole,

Deyaar-e-noor main teera-shabon ka saathi ho,
Koi to ho jo meri wehshaton ka saathi ho,

Main us se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole,
Mere mizaaj ke sab mausmon ka saathi ho,

Main us ke hath na aaon woh mera ho ke rahe,
Main gir parroon to meri pastiyon ka saathi ho,

Woh mere naam ki nisbat se moatbar thehre,
Gali gali meri ruswaayiyon ka sathi ho,

Kare kalaam woh mujh se to mere lehje se,
Main chup rahoon to mere taivron ka saathi ho,

Woh khawb dekhe to dekhe mere hawaale se,
Mere khayaal ke sab manzaron ka saathi ho..

28 Aug 2016

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,
Lekin itna to huwa kuch log pehchane gaye,

Main isay shohrat kahoon ya apni rushwayi kahoon,
Mujh se pehle us gali main mere afsanay gaye,

Wehshaten kuch is qadar apna muqaddar ho gayin,
Hum jahan pohanche hamare saath viraanay gaye,

Yun to woh meri rag-e-jaan se bhi thay nazdeek tar,
Aansuyon ki dhund main lekin na pehchaane gaye,

Ab bhi un yaadon ki khushbuu zehen main mehfooz hai,
Baa�arhaaa hum jise gulzaaron ko mehkaanay gaye,

Kya qayamat hai ke khatir kushta shab hum hi thay,
Subha jab aayi to mujrim hum hi gardaanay gaye..

Bichar K Khat Bhi Na Likhy Udas Yaron Ny

Sakoon k Din Sy Furaghat Ki Rat Sy Bhi Gaye
Tujhy Ganwa K Bharri Kainaat Sy Bhi Gaye

Juda Huwy The Mgr Dil Kabhi Na Toota Tha
Khafa Huwy To Tery iltfat Sy Bhi Gaye

Chaly To Neel Ki Gehraiya'n Theen Ankh0n Men
Palat K Aaye T0 M0j-E-Furaat Sy Bhi Gaye

Khayal Tha K Tujhy Pa K Khud Ko Dhoonden Gy
Tu Mil Gaya Hy To Khud Apni Zat Sy Bhi Gaye

Bichar K Khat Bhi Na Likhy Udas Yaron Ny
Kabi Kabi Ki Adhoori Si Bat Sy Bhi Gaye

W0 Shakh Shakh Lachakty Huwy Badan ""MOHSIN""!
Mujhy To Mil Na Saky Tery Hath Sy Bhi Gaye

Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha..

Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha..
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha..

Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se..
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha..

Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kare..
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha..

Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay..
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha..

Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin..
Sakoon Se So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha..

Tumhara Saya Mery Baba Me Apny Pas Pati Hun

Tumhain Jb Sochti Hun Me
Ye Ankhain Bheeg Jati Hain
Sabar Ye Toot Jata Hai
Sath Sb Choot Jata Hai

Tumhain Jb Yad Karti Hun
Dua Har Baar Karti Hun
Kaash K Loat Ao Tum
Me Rab Sy Faryad Karti Hun

Zindagi Ki Mushkilun Sy Jb
Me Himaat Haar Jati Hun
Tumhara Shafqaton Wala Hath
Sar Py Har Bar Pati Hun

Karakti Dhoop Me Aksar
Me Jb Thak Haar Jati Hun
Tumhara Saya Mery Baba
Me Apny Pas Pati Hun

Bht Baichain Rehti Hun
Tumhain He Yad Karti Hun
Kash K Loat Ao Tum
Me Tum Sy Pyar Karti Hun

Had-e-inteha se bohat aage tumhen chaha hai,

Had-e-inteha se bohat aage
tumhen chaha hai,

Hum ne wafa se bohat aage
tumhen chaha hai,

Jahan se lout aane ka rasta nahi
milta,Us raah se bohat aage tumhen
chaha hai

Un se kaho jin ki nigah mein
Mohabat gunah-e-azeem hai,

Hum ne gunah se bohat aage
tumhen chaha hai,

Mohabaton mein harf-ba-harf
mujhe mangna nahi ata,

Main ne aadab-e-dua se bohat
aage tumhen chaha hai.

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...