20 Aug 2016

Wo jo ek shakhs Ba-zidd hai k bhula do mujh ko

Wo jo ek shakhs Ba-zidd hai k bhula do mujh ko 

Bhool jaon to ussi shakhs ko sadma hogaa :(

19 Aug 2016

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha Mohsin
Mere qatil to mere apne hawari nikle

16 Aug 2016

Udasiyon Ka Ye Mosam Badal Bhi Sakta Tha

Udasiyon Ka Ye Mosam Badal Bhi Sakta Tha
Wo Chahta To Mere Sath Chal Bhi Sakta Tha

Wo Shaks Tu Ne Jise Chorne Mai Jaldi Ki
Tere Mizaj K Sanchay Mai Dhal Bhi Sakta Tha

Wo Jald'baaz Khafa Ho K Chal Dia Warna
Tanazay Ka Koi Hal Nikal Bhi Sakta Tha

Anaa Ne Haath Uthane Nai Dia Warna
Meri Dua Se Wo Pathar Dil Pighal Bhi Sakta Tha

Tamam Umer Tera Muntazir Raha Zeeshan
Ye Aur Baat, Who Rasta Badal Bhi Sakta Tha

Mere Din Raat Mushkil Me Hain Sukoon Eik Pal Nahi Mujh Ko

Mere Din Raat Mushkil Me Hain Sukoon Eik Pal Nahi Mujh Ko

Muhabbat Tars Kha Mujh Par Muhabbat Chor Ja Mujh Ko

Wo Mujhe Chor K Jis Shakhs K Pas Gaya

Wo Tha Faasla e Dua Aur Mustajabi Me K Dhoop Mangne Jaate To Abbar Ajata

Wo Mujhe Chor K Jis Shakhs K Pas Gaya Barabari Ka Bhi Hota To Sabar Ajata

14 Aug 2016

Aakelay pan ki aziyaton ko shomar karna bhi sikh lo gay

Aakelay pan ki aziyaton ko shomar karna bhi sikh lo gay
Karo gay ulfat to roz jina roz marna bhi sikh lo gay

Koi irada abhi takhayol me phool ban k mehak raha hai
Jab asman ne mizaj badla to phir bikharna bhi sikh lo gay

Mohabbaton k ye sare rasaty  asan lagtay hain aibtida me
Tum aaj chal to rahe ho lekin kahin teharna bhi sikh lo gay

kisi khalish se farab kha kar tum apne jewan k raston se
Nazar badalti hoi roton ki tarhan guzarna bhi sikh lo gay

Khomar qurbat k khud faramosh mosamon me yonhi achanak
Tum apni hasti ki jan pehchan se mokarna bhi sikh lo gay

Ye wasal ka be sabat mosam judaiyon ko sadayen de ga
Hasan zara dair zinda rehne k bad  marna bhi sikh lo gay

Tukray utha utha k mere jorta hai wo

Tukray utha utha k mere jorta hai wo
jor jaon jab to phir se mujhe torta hai wo

Uthta hon subha ko to mehakta hai sara jisam
Khawabbon me sari raat mujhe urhta hai wo

Hum ne to ishq kar k khuda pa liya magar
jo be honar hai saangh se sar phorta hai wo

Parhta nahi sahifa e dil ki wo dastan
Har roz ek work faqat morta hai wo

ek shaks mujh me yon hai ubeda basa howa
mere liye jaga hi nahi chorta hai wo

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...