2 May 2016

Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha

Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Ye Bhi Mairey Maabood Ka Andaaz-e-Ataa Hai

Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha
Yaadon Ke Dareechey Mein Koi Aan Kharra Hai

Be-noor Huwa Aaj Mairi Shaam Ka Chehra
Shayad Ke Pas-e-Parda-e-Shab Koi Kharra Hai

Ekk Weham Hai Mairey Liye Taaron Ke Jazeerey
Ekk Dhool Mairey Saamney Manzil Ka Pata Hai

Kya Jaaniye Gum Karda Woh Kya Dhoond Raha Hai
Har Shakhs Ke Chehrey Ko Jo Woh Parrhta Raha hai

Jiss Shehar Ko Chorra Tha Woh Ye Shehar Nahin Hai
Khwabon Ka Woh Mosam Na Khayaalon Ki Fiza Hai

Har Roz Badalta Hai Kayi Rang Jo Chehra
Maloom Nahin Kiss Ke Ye Chehray Ki Adaa Hai !

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar

Kuch Iss Tarah Say Aaj Sataaya Gaya Mujhey
Maira Shikashta Dil Hi Dikhaaya Gaya Mujhey

Daikha Gaya Na Zabt Mairi Aankh Ka Kabhi
Zulm-o-Sitam Say Aaj Rulaaya Gaya Mujhey

Dil Tor Kar Maira Bhari Mehfil Ke Saamney
Rasn-e-Duniya Hai Ye, Bataaya Gaya Mujhey

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar
Gairon Ko Apna Keh Ke, Jalaaya Gaya Mujhey

Jab Doobney Lage Thay Kinaarey Ke Paas Hum
To Door Say Safeena, Dikhaaya Gaya Mujhey !

Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huway

Khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein

Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par
Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein

Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huway
Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein

Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh
Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein

Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha
Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein

Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin
Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein !

Hum Ko Maloom Tha Anjaam-e-Muhabbat Hum Ne

Uss Ne Awaara Mizaaji Ko Naya Morr Diya 
Paa Ba Zanjeer Kiya Aur Mujhey Chorr Diya 

Uss Ne Aanchal Say Nikaali Mairi Ghamgashta Biyaaz 
Aur Chupkey Say Muhabbat Ka Waraq Morr Diya 

Jaaney Waley Ne Humeisha Ki Judaai Dey Kar 
Dil Ko Aankhon Mein Dharrakney Ke Liye Chorr Diya 

Hum Ko Maloom Tha Anjaam-e-Muhabbat Hum Ne 
Aakhri Harrf Say Pehley Hi Qalam Torr Diya .... !

Khailney Ke Waastey, Abb Dil Kisi Ka Chaahiye

Khailney Ke Waastey, Abb Dil Kisi Ka Chaahiye
Umr Aisi Hai Ke Tum Ko Ekk Khilona Chaahiye

Mujh Say Kahiye Haath Mein Mehndi Lagana Hai Agar
Khoon-e-Dil Doon Ya Ke Phir, Khoon-e-Tamana Chaahiye

Bazm Mein Aao Kisi Din Kar Ke Tum Solha Singaar
Ekk Qayaamat Waqt Say Pehley Bhi Aani Chaahiye

Tum Kaho To Mar Bhi Jaoon Main Magar Ekk Shart Hai
Bas Kafan Ke Waastey, Aanchal Tumhara Chaahiye

Kal Talak Tha Dil Zaroori Raah-e-Ulfat Mein "Muraad"
Aaj Ke Iss Dor Mein, Chaandi-o-Sona Chahiye !

1 May 2016

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham 
To ab ye logoN ki baatein suna na karte ham 

Agar na haath mein us dilruba k dil dete 
To dil pe haath sada dhar lia na karte ham 

Us aafat-e-dil o jaaN par agar na mar jaate 
To apne marne ki har dam dua na karte ham 

Na karte us ki, ba-rang-e-hina, jo paa-bosi 
To shakl-e-barg-e-hina yuN pisa na karte ham 

Agar na haNsna haNsaana kisi ka bhaa jaata 
To baat baat pe yuN ro dia na karte ham 

Agar na dekhte wo pyaari pyaari surat, aah! 
To eik eik k muNh ko taka na karte ham 

WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi 


Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski 
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi 


Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main 
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi 


Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan 
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi 


Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath 
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi 


Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat 
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi 


Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi 
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi 


Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO 
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi 


Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per 
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi 


Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ''Wasi" 
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi 

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...