19 Oct 2014

Tum Aksar Yaad Aatay Ho,

Tumhari Un-Kahi Baaten Tumhari
Un-Kahi Ghazlen,
Main Jab Bhi
Gun-Gunati Hoon,
Tum Aksar Yaad Aatay Ho,

Tumhara Wo Bichar Jana,Bichar K Phir Se Mil
Jana,
Meri Khamosh Baaton Ko Bhi
Sun-na Aur Samajh Jana,
Main Jab Mehsoos Karti Hoon
Tum Aksar Yaad Aatay Ho,

Tumhara Wo Rula Dena, Satana Aur Mana Lena,
Chupa Kar Bhi Bata Dena,
Yehi Sab Soch Ke Jab Bhi, Main Thori Muskurati
Hoon,
Tum Aksar Yaad Aatay Ho
Tum Aksar Yaad Aatay Ho�

Kaha Main Ne Kahan Ho Tum

Kaha Main Ne Kahan Ho Tum
Jawab Aya Jahan Ho Tum

Mere Jeewan Se Zahir Ho
Mere Gham Main Nihaan Ho Tum

Meri To Sari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-E-Bayan Ho Tum

Main Hun Lafz Mohabbat Hon
Magar Meri Zubaan Ho Tum

Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Maula

Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Maula
Ghaib Se Koi Ishara Nahi Hota Maula

Mujh Ko Hijrat Ki Koi Raah Sujha Himmat De
Mujh Se Yeh Shehr Gawara Nahi Hota Maula

Jab Mai Ghar Jata Hun Amboh-E-Masaib Mai
Kabhi
Tujh Bina Koi Sahara Nahi Hota Maula

Sochta Hun To Har Ik Simt Samandar Hi Miley
Dekhta Hun To Kinara Nahi Hota Maula

Kuch Na Kuch Phir Bhi Kami Rehti Hai
Chand Hota Hai Sitara Nahi Hota Maula

Kiya Tumhen Ab Bhi Yaad Aata Hai

Ab Yahi Aakhri Sahara Hai
Main Tera, Tu Mera Kinara Hai

Lautna Ab Nahi Raha Mumkin
Tu Ne Kis Morr Par Pukaara Hai

Kiya Tumhen Ab Bhi Yaad Aata Hai
"Chand Ke Paas Jo Sitaara Hai"

Yeh To Sajta Hai Aasmanon Par
Tu Ne Palkon Pe Kiyu Utaara Hai

Maut Ke Saamne Haqeeqat Mai
Hijr To Ik Zara Ishaara Hai

Hum Koi Khas Khush Nahi FARHAT
Zindagi Kiya Hai Bas Guzaara Hai

18 Oct 2014

Wo rooth K Boli Tumhen Sab Shikayten Mujh Se Hi Hein.

Wo rooth K Boli Tumhen Sab Shikayten Mujh Se Hi Hein...!!


Hum Ne Sar Jhuka K Keh Diya Muje Sab Umeeden bhi to Tum Se Hain....

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna,

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna,
Khud ko kabhi khawbon ke hawaale nahin karna,

Is umar main khush'fehmiyan achi nahin hotin,
Is umar ko vaaadon ke hawaale nahin karna..

Tooti phooti ik kashti aur khushk samandar dekha tha,

Tooti phooti ik kashti aur khushk samandar
dekha tha,

Kal shab main ne jhaank ke shayed apne andar dekha tha.

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...