laut aate hai chor kar jane wale bhi
mohabbat sachhi ho to
Wo yun Gaya k bad e saba yaad aa Gai
Ehsas tak bhi hum ko dila kar nahi Gaya
Yun Lag Raha Hai Jaise Abhi Lout Aaye Ga
Jate Hua Charagh Bujha Kar Nahi Gaya
Bas eik lakeer khanch gaya darmiyan mein
Diwaar raste mein bana kar nahi Gaya
Shayad wo mil hi jaye magar justujo hai shart
Wo apne nakhs e paa to mita kar nahi Gaya
Ghar Mein Hai Aaj Bhi Wohi Khushbu Basi Hui
Lagta Hai Yun K Jaise Wo Aa Kar Nahi Gaya
Tab tak to phool jaisi hi taza thi uski yaad
Jab tak wo pattiyon ko juda kar nahi gaya
Rehne Diya Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe
Aur Khak Mein Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahi Gaya
Shezad ye gila hi raha uski zaat se
Jate howe wo koi gila kar nahi Gaya