10 Sept 2016

Usne Kaha Eid Aa Rahi Hai

Usne Kaha Eid Aa Rahi Hai 
Main Ne Kaha Teri Yad Rula Rahi Hai 

Usne Kaha Eid Manao Gay 
Main Ne Kaha Kya Tum Aao Gay 

Usne Kaha Rona Na Eid k Din 
Main Ne Kaha Rukte Nahi Aansu Tere Bin 

Usne Kaha Udas Na Hona Eid K Din 
Main Ne Kaha Bara Hata Hai Ye Din 

Usne Kaha Kab Tak Na Karogy Eid 
Main Ne Kaha Jab Tak Na Ho Teri Deed 

Usne Kaha Ab K Baras Eid Manaoge 
Main Ne Kaha Agar Tum Jo Aao Ge 

Usne Kaha Zid Na Kar 
Main Ne Kaha Youn Eid K Din Door Raha Na Kar

Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam.

Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam.

Meri palkhon py Sitaray the Teri Yadon k.

9 Sept 2016

7 Sept 2016

Main Usay Kaise Akela Chor Doon Is Raah Mein,

Main Usay Kaise Akela Chor Doon Is Raah Mein,

Sath Jo Chalta Raha Majburiyon K Baad Bhi,

Ban K Khushbu Bus Gya Hai Yun Mere Ehsas Mein,

Door Ho Paaya Nahi Wo Dooriyon K Baad Bhi,

Rafta Rafta Us Ko Bhi Ye Duniya Raas Aa Gyi,

Muskura K Wo Mila Hai Ranjishon K Baad Bhi,

Faasle Kab Kam Hue Hain Raabton K Baad Bhi,


hum 'Ajnabi 'Thay...
'Ajnabi 'Hain...
Mohabbaton K Baad Bhi.


Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakon Mohsin

 
Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakon Mohsin

Yaad Phir Aayi Hai Nendon Ko Urane Wali

Ay Haalat-e-khamoshi mein dobi raat Alvida

Ay Haalat-e-khamoshi mein dobi raat Alvida

Agr zinda rahe to kal dekhen gyn tery Urooj-e-Aftab ka ik or Manzar

Hasil e zindagi hasraton k siwa kuch b nahi.

Hasil e zindagi hasraton k siwa kuch b nahi.. 

Ye kia nahi wo hua nahi ye mila nahi wo raha nahi.

Abhi Saazish Ka Zamana Hai

Abhi Saazish Ka 
Zamana Hai 
Abhi Tum ISHQ Mat Karna... 

Yahan Aandhi Ka Charcha Hai, 
Abhi Tum Rait Jesi Ho..

Mareez-e-ishq Hai To Dawa-e dil Smajh Mehboob Ko,

Mareez-e-ishq Hai To Dawa-e dil Smajh Mehboob Ko, 

Phir Marz Janay Dawa Janay Shifa Janay Khuda Janay.

Na Tol Apne PYAR Ko Be Daam Tarazoo Mein

Na Tol Apne PYAR Ko Be Daam Tarazoo Mein 

Tu Kitni Anmol Hai Kabhi Pooch Meri Nigahoo se

A Boy & A Girl Loved Each Other Very Much�

A Boy & A Girl Loved Each Other Very Much�
Unfortunately The Boy Died�
Girl Was Upset Too Much & She Couldn�t Stop Her Tears�
She Kept On Crying Every Day�
Many People Gave Sympathy But No Argument Could Stop Her Tears
One Night She Slept & Had A Dream��
She Saw The Guy In Heaven With So Many Guys Of His Age��
He Felt Relaxed��
But She Noticed That Every Guy Was In Fairy Dress��& Had A Lightened Candle In Their Hand��
But Her Guy Had A Candle Which Was Not Lightened�
She Asked Him:;�Why Your Candle Is Not Lightened?�
He Said:-�Whenever I Lighten My Candle My Candle Your Tears Falls On It�

Please Don�t Cry For Whom You Really Love�
�Because They Don�t Want You Too�

Tu Meri Fikar Na Kar Yun Na Aab Deeda Ho

Tu Meri Fikar Na Kar Yun Na Aab Deeda Ho 

Mujhe Judai Ka Mosam Bhi Raas Aata Hai

Hamesha Hote Hen Pakeeza Rishty Nafrat K...

Hamesha Hote Hen Pakeeza Rishty Nafrat K... 

Badan Se Kapre Mohabat Me Hi Utartay Hen...

Barasti hoi barish or roti hoi aankhon ka..

Barasti hoi barish or roti hoi aankhon ka..

Ehsas unko hi Hota hai jin k Ghar or dil Nazok Hoty hain..

6 Sept 2016

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan 
Yad kya tujh ko dilayen tera pemaan janaan 

Younhi Mosam ki ada dekh k yad aya hay 
Kis Qadar jald badal jatay hain Insaan janaan 

Zindagi teri ataa thi so teray naam ki hay 
Hum nay jesay B basar ki tera ehsaan janaan 

Dil ye kehta hay k shayad ho fasurda tu B 
Dil ki kya bat karein dil to hy nadaan janaan 

Muddaton sy yehi AaLam na TawaQQo na umeed 
Dil pukaray hi chala jata hay Janaan Janaan 

Hum Bhi kya saada thay hum nay Bhi samajh rakha tha 
Gham e Doraan say juda hay Gham e Janaan Janaan 

Ab k kuch aisi saji Mehfil e Yaraan janaan 
Sar Bazanu hay koi sar ba Girebaan janaan 

Ab tera zikar B shayad hi GhazaL mein Aaye 
Or say Or huway dard k unwaan janaan 

Hum k Roothi hoyi Rutt ko B manaa Letay thay 
Hum nay dekha hi na tha Mosam e Hijraan janaan 

Hosh aya to sabhi khwab thay reza reza 
Jesay urrtay huway OraaQ e Pareshaan janaan..

Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota

Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota 
Shajar sokha howa Ho to Samar acha nahi Hota' 

Jo mumkin Ho to rasty sy koi jugno pakar lena' 
Andheri raat ka tanha safar acha nahi Hota' 

Milo kuch is tarah k Dil aapis main mil jayen' 
Taaa-ruf doston se mukhtasir acha nahi Hota' 

Wahin betho jahan saya mile apne darakhton ka' 
Kisi k ghar k angan ka shajar acha nahi Hota' 

Chalo acha howa dehlez se wapis palat aye 
Jaha apny na basty Hon wo ghar acha nahi hota..

Ye Urri Urri Si Rangat Ye Khule Khule Se Gesuu,

Ye Urri Urri Si Rangat Ye Khule Khule Se Gesuu, 

Teri Subah Kah Rahi Hai Teri Raat Ka Fasaana.

Agar Apni Qismat Likhne Ka Zara Ikhtiyar Ho Mujhe

Agar Apni Qismat Likhne Ka Zara Ikhtiyar Ho Mujhe

To Apne Naam Ke Sath Tujhe Har Bar Likhon

Mere Marne Ke Baad Meri Rooh Se Bas Itni Wafa Karna

Mere Marne Ke Baad Meri Rooh Se Bas Itni Wafa Karna

Jab Meri Yad Aye To Meri Magfirat Ki Dua Karna

Intezaar to un ka kiya jata hai jinhen wapas ana ho,

Intezaar to un ka kiya jata hai jinhen wapas ana ho,

Jo khud gharz hon un k liye mara nahin karte.

Suno Us Shakhs Ke DIl Mai Muhabbat Ghar Nahi Karti

Suno Us Shakhs Ke DIl Mai Muhabbat Ghar Nahi Karti

Jisay Ye Badgumani Ho Muhabbat Ikhtyari Hai

Suno Tum door mat jana

Suno Tum door mat jana 
Agar qismat b le jaye 
Magar tm bhool mat jana 
K yeh janmo ka rishta hai 
Mohabat zakhm khurda hai 

Hamen to sath rehna hai 
Tumhary pas rehna hai 
Akela choor mat jana 
Suno tum door mat jana 

Alag jeena nahi sekha 
Zehr pena nahi sekha 
Agar tum laut jao gy 
Judai maar daly gi 

Yeh dori toot jaye gi 
Is dil ko toor mat jana 
Suno tm door mat jana 
Muje tum bhool mat jana..!

Kuch loG bicha kar kant0n ko gulshan ki tawaq0 rakhte hain

Kuch loG bicha kar kant0n ko gulshan ki tawaq0 rakhte hain 
Sh0l0n ko hawayEn de de kar sawan ki tawaq0 rakhte hain 

Mahol ke taptay sehra say halat ki ujri shakh0n say 
Hum ehel e jan0on phul0on say bharay daman ki tawaq0 rakhte hain 

Wo gaiso e jaaNa h0n sagar ya gardish e d0raan ke saye 
Aye waye muqadar dono say uljhan ki tawaq0 rakhte hain

Pipal K Paton Jesa Na Bano

Pipal K Paton Jesa Na Bano 
Jo Waqt Aane Pe Sukh K Girte Hen 
Balkay 
Mehndi K Paton 
Jesa Bano 
Jo Khud Pis K B dosron Ki 
Zandagi Me Rang Bharte Hen

Bolo Is Eid Py Kya Gift lo Gy,,?

Bolo Is Eid Py Kya Gift lo Gy,,?

Dil Jo De Du Sambhal Lo Gy,,? 

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..

Har sham kehtay ho kal sham milen gay.. 
Q ati nai wo sham jis sham milen gay.. 

Youn acha nai lagta yeh shamon ka badalna.. 
Kal sham b kaha tha k kal sham milen gay.. 

Ati ha jo milnay ki garhi kartay ho bahana.. 
Youn milna acha nai kisi kam say milen gay.. 

Yeh rah e muhabat hai yahan chalna aasan nai.. 
Ungli b uthay gi yahan ilzam b lagay gay.. 

Mumkin nai shamon k abhi milna jo hamara.. 
Hum dono k yak ja to b nam milen gay.. 

Umeed hai wo din ayen gay.. 
Subho sham milen gay saray aam milen gay..

4 Sept 2016

Eid Ayi Hai Musarat Ki Pyami Ban Kar..!!

Eid Ayi Hai Musarat Ki Pyami Ban Kar..!!

Wo Musarat Jo Teri Deed Se Wabasta Hai..!!

Meri Palko Pay Larzta Hai Teri Deed Ka Khauf.

Meri Palko Pay Larzta Hai Teri Deed Ka Khauf.

Jese Gurbat Me Ghirey Ghar K Liye Eid Ka Khauf.

tujhe meri na mujhe teri khabar jayegi

tujhe meri na mujhe teri khabar jayegi

eid ab ke baar dabe paon guzar jayegi.

Kitni Eid�eN guzar gayi tum bin,

Kitni Eid'eN guzar gayi tum bin,
Ab khuda ke liye na tarpaana,

Dekho phir eid aney wali hai,
Eid ke sath tum bhi aa jana.

Kese Karo Main Eid ! Bhala Kyon Karo Shinghar...!!!

Kese Karo Main Eid ! Bhala Kyon Karo Shinghar...!!!

Woh To Kab Ka Rooth Gaya, Jo Tha Meri Eid Ka Chand..!!!

Kuch Mussarat Mazeed hojaye Is Bahane sai Eid hojaye

Kuch Mussarat Mazeed hojaye
 Is Bahane sai Eid hojaye
 Milne jo Aap ajayein
 meri bhi Eid Eid hojaye..

Gheroon mein hai jo shaad usay Eid mubarak

Gheroon mein hai jo shaad usay Eid mubarak

Hum jis ko nahi yaad usay Eid mubarak

Chand Eid ka dikash hai janta hun

Chand Eid ka dikash hai janta hun

Husan e janaa se magar haar jaye ga..

Ab to aa jao k Eid aai hai

Ab to aa jao k Eid aai hai

Khud ko samjhao k Eid aai hai

Eik mulaqat ka moqa dekar

Eik mulaqat ka moqa dekar

Tum meri Eid ki Eidi de do

Tumhary chand se chehray ki agar deed ho jaye

Tumhary chand se chehray ki agar deed ho jaye

Qasam hai apni aankhon ki hamari Eid ho jaye

Eid k khayal ne khush to kar dia hai lekin.

Eid k khayal ne khush to kar dia hai lekin.

Ab bhi soch kar tumhain dil bohat udaas hai...!!

Tanha beth kar tum ko pardes main yaad karain gay

Tanha beth kar tum ko pardes main yaad karain gay

Tumhari yadon k sang hum bhi Eid manayen gay

Na mil sake hum iss eid par tou koi baat nahi�

Na mil sake hum iss eid par tou koi baat nahi�

Jazbon main ho khuloos tou eidain hazaar hain

Naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai

Naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai

Wo khush naseeb hain khoob unki Eid hoti hai

Na mil saky is Eid par to koi bat nahi

Na mil saky is Eid par to koi bat nahi

Jazbon mein ho khaloos to Eidein hazar hain

Kesi Eidain kahaan ki Eidain

Kesi Eidain kahaan ki Eidain

Galay jis din yaar lag jayega usi din Eid kar lain gay

Is k aany se huay zakham haray kitny

Is k aany se huay zakham haray kitny

Eid se keh do mere shehr mein na aaya kary

Bin dekhe ya rab ye eid na guzre

Bin dekhe ya rab ye eid na guzre
Kar peda koi sabab ye eid na guzre

Dunya ko dikhaya he ek chand jo tone
Mujhko bhi dikha de ab ye eid na guzre


Jo bosa hath ka bhi Eid par ataa na kary

Jo bosa hath ka bhi Eid par ataa na kary

Kisi ka aesa sanam ho khuda na kary

2 Sept 2016

Adhori baten jo kr gaye ho,

Adhori baten jo kr gaye ho,
Merey hi dil mein utar gaye ho,
Kis ki chahat ka ye asar hai?
K reza reza bikhar gaye ho,
Tumhi to ho jo hamary dil ki
Hadon ko choo k guzar gaye ho,
Hamara thamo ge hath kya tum?
Abhi zamany se dar gaye ho,
Chaly gaye ho nazar jhuka k
Hamen dewana sa kr gaye ho,
Kyun Bhool bethy ho ehd sary
Abhi se kyun tum mukar gaye ho,
Kyun Dhondti hai ye nazar tum ko
Bas Aa bhi jao kidhar gaye ho...?

31 Aug 2016

Yoon akelay men usay Ehl-e-wafa yaad aaye,

Yoon akelay men usay Ehl-e-wafa yaad aaye, 
Jaisay banday ko museebat men khuda yaad aaye 

Jaisay ujray huay panchi ko nasheman apna, 
Jaisay apnon k bicharnay pe dua yad aaye. 

Jaisay dhalti huee shamon ko sawera koi, 
Jaisay pinjray men parinday ko Fizaa yaad aaye, 

Jaisay boorhay ko khyalat men bachpan apna, 
Jaisay bachay ko shrarat pe saza yaad aaye. 

Jaisay ujri huee basti ko zamana apna, 
Jaisay tufaan k thehernay pe diya yaad aaye. 

Jaisay palkon k jhapaktay he kinaray bhegen, 
Jaisay us roz, hua kon juda, yaad aaye. 

Jaisay sooraj ki tamazat men ghata yaad aaye,
Yoon akely men usay ehl-e-wafa yaad aaye.

30 Aug 2016

Main us se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole,

Deyaar-e-noor main teera-shabon ka saathi ho,
Koi to ho jo meri wehshaton ka saathi ho,

Main us se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole,
Mere mizaaj ke sab mausmon ka saathi ho,

Main us ke hath na aaon woh mera ho ke rahe,
Main gir parroon to meri pastiyon ka saathi ho,

Woh mere naam ki nisbat se moatbar thehre,
Gali gali meri ruswaayiyon ka sathi ho,

Kare kalaam woh mujh se to mere lehje se,
Main chup rahoon to mere taivron ka saathi ho,

Woh khawb dekhe to dekhe mere hawaale se,
Mere khayaal ke sab manzaron ka saathi ho..

28 Aug 2016

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,
Lekin itna to huwa kuch log pehchane gaye,

Main isay shohrat kahoon ya apni rushwayi kahoon,
Mujh se pehle us gali main mere afsanay gaye,

Wehshaten kuch is qadar apna muqaddar ho gayin,
Hum jahan pohanche hamare saath viraanay gaye,

Yun to woh meri rag-e-jaan se bhi thay nazdeek tar,
Aansuyon ki dhund main lekin na pehchaane gaye,

Ab bhi un yaadon ki khushbuu zehen main mehfooz hai,
Baa�arhaaa hum jise gulzaaron ko mehkaanay gaye,

Kya qayamat hai ke khatir kushta shab hum hi thay,
Subha jab aayi to mujrim hum hi gardaanay gaye..

The Cento

street wall collage   -   Photo:PxHere The cento is a poetry form that I used with students but that I haven't used myself o...